Faridoon Shahryar's Blog


Friday, February 10, 2012

Dil Dhadakne Ki Awaaz Ki Khamoshi...A Ghazal By My Father From Trikon Ka Chautha Kon

Hi There

'Dil Dhadakne Ki Awaaz Ki Khamoshi Ke Siva' is a song written by my father Professor Shahryar. It was featured in a 1986 movie 'Trikon Ka Chautha Kon'. Sung by Bhupendra and Penaz Masani, the song has been musically composed by legendary Jaidev sahab with whom Abba had also collaborated on 'Seene Mein Jalan' and 'Ajeeb Saneha Mujh Par Guzar Gaya Yaaron' in Muzaffar Ali's 'Gaman'.



Lyrics

Dil dhadakne ki awaaz ki khamoshi ke siva, koi bhi to nahin

Besabab hum ko phir, teesre ka gumaan, kaise, aur kyun hua
Koi bhi to nahin

Dil Dhadakne ki awaaz...

Teri zulfon ki khushboo mein bheegi hui meri ye ungliyan
Dhoondti hai tujhe
Choo rahi hai tujhe, aa na jaaye kahin aaj peron tale
Apni parchaiyan, dheere dheere chalo
Jo bhi kahna hai, aankhon se aake kahe
Muh se kuch mat kaho
Dheere dheere chalo
Jo bhi kahna hai aankhon se aake kahen

Surq phoolon ko boson se madhosh karti hui
Shaam ki ye hawa tak rahi hai tujhe
Teri peshaani ko choomne ke liye
Tak rahi hai tujhe
Os ki boond ke...
Os ki boond ke bojh se teri palken jhukin
Meri saanse rukin
Koi bhi to nahin
Dil dhadakne ki awaaz ki khamoshi ke siva
Koi bhi to nahin

3 comments:

  1. nice...sir ji..any interview & video about ek tha tiger....plzzzzzzzzz all sallu fan r big wwaiting....

    ReplyDelete
  2. Heartfelt condolences, Faridoon. May Shahryarji's soul rest in peace. God bless.

    ReplyDelete
  3. What a lovely song.

    ReplyDelete